Wednesday, April 13, 2011

NAYA DOR (In Hindi)

CHAR PAHIYE KI GADHI MAIN CHALI HAI HAISIYAT
AHNKAR BANA HAI PEHCHAAN HUMARI
ZAMEEN KE CHAN TUKDE BANE HAIN PARMAAN PATR
MAIN HI MAIN HO HAI KHWAHISH HUMARI

RISHTON NE NAYA ROOP LIYA HAI
BOOJHO TO LAGE DEKH RAHA HOON KHATE
MAIN TUJHSE AAGE TU MUJHSE PECCHE KI AJAB DODH LAGI HAI
JAANA KAHAN HAI YE KOI NA JAANE

NASAMJH HI MAIN ACHA THA
SAPNON KI DUNIYA BUNTA THA
HUMDARDI PYAAR BHAICHAARA DULAAR
IN MAIN KHELA KARTA THA

AB INSANON KE KARKHANNON MAIN
JO BINA DHADKAN HI CHAL RAHE HAIN
PARINDON KE PANKH BANDH GAYE HAIN
IS KHUDI MAIN KHUDA KO BHOOL GAYE HAIN

2 comments:

  1. Kshitij . This is so deep man . Congratt Yaar . Please dont stop or hold urself . This Poetry is a Milestone dude .

    Kahaan se kahaan aa gaye ho tum . Pehle Girl Next Door ' Ding don ding ' se ' Khudi main Kuda ' . But I still feel that you always want to be that Boy next door ,Innocent not in a Rat Race . Or with this Vision Today

    ReplyDelete
  2. thanks a ton dude....glad u liked it...with inspiration like urs i guess i will keep the words flowing....cheers:)

    ReplyDelete