Wednesday, November 16, 2011

KHOJ

Yeh Kya Khojta Hai Tu Bahar
Sadiyaan Beet Gayi, Phir Bhi Tu Ne Na Jaana.

Beete Pallon Ko Thaame
Aaj Phisal Rahaa Hai
Kal Ki Umeedon Main
Khud Ko Kho Raha Hai

Pukaar Dil Se Yeh Nikali Hai
Ki Fanaa Ho Jaye Hum
Par Zindagi Ka Yeh Jhamela
Sirf Pee Ke Hi Paar Hua Hai

Kyon Chahaton Ki Ladi Se Ghira,
Doston Main Uljhah, Rishton Main Bandha
Ehsaason Ke Bulbulon Main
Mila Hai Khushi Ka Manzar Kisse Bhala

Aye Baware Man Mere,
Zara Ruk, Zara Sun Meri Sadaa
Raqeeb Tu Apna Hi Ban
Woh Saqoon Jisse Tu Dhoondta Hai Jagah Jagah
Kahin Aur Nahin, Tere Andar Hi Bassa

Dhoondle Tu Usko, Paa Le Tu Usko
Aur Baant De Tu Usko
Yeh Woh Innayat Hai Jo
Sambhale Se Dhale, Banto To Badhe
Kho Kar Tu Ismain,
Mukamal Jahan Pale Tu Zara

Yeh Kya Khojta Hai Tu Bahar
Sadiyaan Beet Gayi, Phir Bhi Tu Ne Na Jaana

Saturday, November 12, 2011

TABAH (Hindi/Urdu)

Ek Aag Si Hai Seene Main
Zindagi Jis Main Jal Rahi Hai
Khud Ko Hi Tabah Kar Chaloon Main
Ek Ajab Si Khalish Hui Hai

Kaun Hoon Main Aur Kya Mera Wajood
Mitne Se Kya Kabhi Zindagi Ruki Hai
Khud Ko Tabah Kar Chaloon Main
Aaj Phir Yeh Khwahish Hui Hai

Jazbaat Yeh Jo Dafan Hue Hain
Tune Kaisi Yeh Zid Rakhi Hai
Khud Ko Tabah Kar Chaloon Main
Dil Pe Dastak Yeh Hasrat Hui Hai

Haqeeqat Aur Khwab Main Ulajhti Zindagi
Do Saahilon Pe Chal Rahi Hai
Khud Ko Tabah Kar Chaloon Main
Phir Umeedon Main Chingari Hui Hai

Ek Aag Si Hai Seene Main
Zindagi Jis Main Jal Rahi Hai
Khud Ko Hi Tabah Kar Chaloon Main
Ek Ajab Si Khalish Hui Hai